HAMARA MADINA

Madina Madina hamara Madina
Hamein Jano dil se hai oiyaara Madina

Sohana sohana dil aara Madina
Her ashiq ki ankhoon ka taara Madina

Sabhi Asiqe Mustafa kah rahe hein
Hamein to hai Jaanat se piyaara Madina

Ye rangeen fazaein ye mahki hawaein
Mo'atar mo'anber hai sara Madina

Madine kay Jalwoon kay qurbaan jaon
Hai Qudrat ne kaisa sanwara Madina

Paharoon mein bhe husn kantein bhe dilqash
Baharoon ne kaisa nikharaa Madina

Wahan Piyaara Kaaba yahan Sabz Gumbad
Wo Makkah bhe meetha to Piyaara Madina

Bulalejeye ab to Qadmoon mein Aaqa
Dikha dejeye ab to piyaara Madina

Phiroon gird Kaaba piyoon Aabe Zam Zam
Mein phir aa kay dekhoon Tumhara Madina

Masaib howe dour saare jahaan kay
Giyaa jab koi gham ka maara Madina

Hai shaho gada muflis-o-aghniyaa ka
Bila raib sab ka guzaara Madina

Ye diwaane Aaqa ! Madine ko aaein
Bolalo inhein ab Khudara Madina

Khuda gar qiyamat mein Farmae Mangoo!
Ligaein gay diwaane Naara "Madina"

Madine mein Aaqa hamein mout aae
Bane kaash! madfan hamara Madina

Use sair-e-gulshan say kya ho ta'aluq!
Kiya jis ne Tera Nazaara Madina

ZIYA(Rehmatullah Aalaih) Peer-o-Murshid k Sadke mein Aaqa
Ye ATTAR aae dobara Madina



Thanks & Regards
Dr. Shenwaj Ahmed
Electropathy
BEMS, DMLT
Bhopal, Madhya Pradesh