Allah humma salle ala syed e na wa maulana muhammadin
wa ala aali hi wa ashabhi hee wabarak wasallam.

Sabse aala wa aala hamara nabi
Sabse bala ba bala hamara nabi
Apne maula ka hamara nabi
Dono aalam ka dulha hamara nabi

Kya khabar kitne taare khile chhup gaye
Par na dube na duba hamara nabi
Sab chamak wale ujno me chamka kiye
Andhe seeso ne chamka hamara nabi

Jiski Do Boond Hain Kausaer O Salsabeel
Hain Wo Rehmat Ka Dariya Hamara Nabi
Jiske Talwon Ka Dhovan Hai Aabe Hayaat
Hain Wo Jaane Maseeha Hamara Nabi(saw)

:- Sarkar ke kadam ka kya mukaam hai jante hai aap
Description pe nahi jaunga tafseel me jaunga
Sirf is ser me aap ham ashiqane rasool samjh jayenge -:

Kadmo me jabi ko rahne do
Chahre ka tassabur mushkil hai
Jab chand se badkar yehi hai
To rukhsaar ka aalam kya hoga

Ya gouse aajam
Hath me hath dena mera kaam tha
Ab ye nisbat nibhana tera kaam hai
Pahle ulfat me khashti bada mene di
Ab kinare lagana tera kaam hai

Ya gouse aajam
Fayda bait hone se ye to hua
Me bura ya bhala tere hatho bika
Ye andero bhara dil tumhe de diya
Isme samma jalana tera kaam hai

Jitthe mere hujur tha dera hai
Utthe rahta sada sawera hai
Ye jo kabar me aaqa aa jayenge
Imaan ka aalam kya hoga

Mulke kounain me ambiya tajda
Tajdaro ka aaqa hamara nabi
Jinke talbo ka dowan hai aawe haya
Hai wo jane masiha hamara nabi

Mangane walo humko to yu chahiye
Mangana aur kise se bhi kyu chahiye
Kon deta hai dene ko muh chahiye
Dene wala hai sachha hamara nabi

Jab husan tha unka jalwa nuwa
Anwar ka aalam kya hoga
Har koi fida hai bin dekhe
Deedat ka aalam kya hoga

Allah humma salle ala syed e na wa maulana muhammadin
wa ala aali hi wa ashabhi hee wabarak wasallam.


Thanks & Regards
Dr. Shenwaj Ahmed
Electropathy
BEMS, DMLT
Bhopal, Madhya Pradesh