Ha Ab Nikah Mene Bhi Kar Liya Kalma khamakha Mene Bhi Pad Liya
Kalma khamakha Mene Bhi Pad Liya
Abhi tak to sabka ladla hu me
Sabhi ki aankho m bepanah hu me
Na pata tha ye ke ik din esa bhi aayega
Jab ghar aur ghar mujhse chunne ko kaha jayega
Na jane kis kashmakash se rubru hona padega
Ab apno ke liye apno se juda hona padega
Ab tarasati hai aankhe thoda pane ko sukun
Kaash koi fir se lota de wo pyara sa junun
Ab qismat ki jagah khud ko pad liye
Ha ab nikah mene bhi kar liya
Kalma khamakha mene bhi pad liya
Ab ghar ko ghar se batna padega
Lamha ye gunah ka ab chhatna padega
Gar gunah hai dur rahna to sab ne ye kiya hai
Ham naye hai sayaane ye to apno ne hi diya hai
Gar na ho yaqin is par to ajma le unn ko
Kar apni band aankhe aur dekh daal khud ko
Jo dekha bo sahi hai ye kese aazmaye
Jo gunah ye hua hai wo kese hum chhupaye
Jo tune ye kiya hai wo tere sath hoga
Ye waqt hai musafir ulta jarur hoga
Ab qismat ki jagah khud ko pad liye
Ha ab nikah mene bhi kar liya
Kalma khamakha ye mene bhi pad liya
