Sooni Sooni Dagar Ujda Ujda Chaman


Sooni sooni dagar ujda ujda chaman
Bin tere ye na mahkega Mushk E Khutan

Sooni sooni dagar ujda ujda chaman
Bin tere ye na mahkega Mushk e Khutan

Toot kar jaise gir jayega ye gagan
Meri maa tu hai jannat me mast-o-magan

Toot kar jaise gir jayega ye gagan
Meri maa tu hai jannat me mast-o-magan
Kaise tujh ko kahun phir se aaja yahan
Kaise tujh ko kahun phir se aaja yahan

Meri maa, meri maa, meri maa, o meri maa
Meri maa, meri maa, meri maa o payari maa

Sabr karta to hun sabr aata nahi
Samne teri soorat koi lata nahin
Sabr karta to hun sabr aata nahi
Samne teri soorat koi lata nahin

Tera paigham ab koi lata nahi
Dard dil haay re mera jata nahin

Tera paigham ab koi lata nahi
Dard-e-dil haay re mera jata nahi
Kisko apni sunayenge ham dastan
Kisko apni sunayenge ham dastan
Meri maa, meri maa, meri maa, o meri maa
Meri maa, meri maa, meri maa o payari maa

Mere walid ka (taader) saya rahe
Unki chshmon inayat ka dariya bahe

Mere walid ka taa dere saya rahe
Unki chshmon inayat ka dariya bahe
Unki mehntat mushqqat se ham hain pale
Dil se khidmat karen unki ab bin kahe

Unki khidmat ka wada liya tune haan
Unki khidmat ka wada liya tune haan

Meri maa, meri maa, meri maa, o meri maa
Meri maa, meri maa, meri maa o payari maa
Meri maa teri mamta pe qurban mai
Bhool jaaun na maula ka farman mai

Meri maa teri mamta pe qurban mai
Bhool jaaun na maula ka farman mai

Yaad kar kar ke ho jaun hairan mai
Tujh ko padh padh ke bakhshuga quran mai
Yaad kar kar ke ho jaun hairan mai
Tujh ko padh padh ke bakhshuga quran mai

Tera beta hai ahmed aur tu uski maa
Tera beta hai ahmed aur tu uski maa

Meri maa, meri maa, meri maa, o meri maa
Meri maa, meri maa, meri maa o payari maa

Thanks & Regards
Dr. Shenwaj Ahmed
BAMS, DMLT, D Pharm.
Bhopal, Madhya Pradesh